Tuesday, June 3, 2014

Hazaaron Khwahishain Aisi Mirza Ghalib Lyrics

Hazaaron khwahishain aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bohot nikle mere armaan lekin fir bhi kam nikle

Dare kyoon mera qaatil kya rahega uskee gardan par
wo khoon, jo chashm-e-tar se 'umr bhar yoom dam_ba_dam nikle

[ chashm = eye, tar = wet, dam_ba_dam = continuously ]

Nikalna khuld se aadam ka sunte aayein hain lekin
Bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle

[ khuld = heaven, be_aabaru = disgrace, koocha = street ]

Bharam khul jaaye zaalim tere qaamat ki daraazee ka
Agar is turra-e-pur_pech-o-kham ka pech-o-kham nikle

[ daraazee = length/delay, qaamat = stature, turra = an ornamental
tassel worn in the turban, pech-o-KHam = curls in the
hair/complexity ]

Magar likhwaaye koee usko khat, to hamse likhawaaye
Hui subah aur ghar se kaan par rakhkar qalam nikle

Hui is daur mein mansoob mujhse baada_aashaamee
Fir aaya wo zamaana, jo jahaan se jaam-e-jam nikle

[ mansoob = association, baada_aashaamee = association with
drinking ]

Hui jinse tavaqqo khastagee kee daad paane kee
Woh hamse bhee ziyaada khasta-e-tegh-e-sitam nikle

[ tavaqqo = expectation, khastagee = weakness, daad = justice,
khasta = broken/sick/injured, tegh = sword, sitam = cruelty ]

Mohabbat mein naheen hai farq jeene aur marne kaa
Usee ko dekh kar jeete hain jis kaafir pe dam nikle

Zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam nikle
Jo wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle

Khuda ke waaste parda na kaabe se uthaa zaalim
Kaheen 'eisa na ho yaan bhi wohi kaafir sanam nikle

Kahaan maikhaane ka darwaaza 'Ghalib' aur kahaan waaiz
Par itana jaante hain kal wo jaata tha ke ham nikle

[ waaiz = preacher/advisor ]

Although this ghazal is more famous for the great ghazal maestro Jagjit Singh saab's version, but, here, I would like to share with you the female version sung by Subha Mudgal from one of my most favourite films of the same name, Hazaaron Khwaishein Aisi by Sudhir Mishra. Here's the song and hope you will enjoy it as well -



No comments:

Post a Comment